le chuko dil jo nigah ko to ye dushwar nahin
lek tum dekhte phirte ho KHaridar nahin
go ki musharif-ba-halakat hun main is bar pe shoKH
to ayaadat ko gar aawe to kuchh aazar nahin
tang to hum ko tu ai jaib kare hai lekin
uTh gaya hath gar apna to phir ek tar nahin
go subuk mujh ko zamane ne kiya hai lekin
ye bhi hai shukr kisi dil ka to main bar nahin
majlis-e-mai se mushabah hai KHarabaat-e-jahan
jaan kar yan jo na ho mast so hoshyar nahin
har bad o nek jahan apni jagah hai matlub
kaun sa uzw badan mein hai ki darkar nahin
mai ki tauba ko to muddat hui 'qaem' lekin
be-talab ab bhi jo mil jae to inkar nahin
Ghazal
Le chuko dil jo nigah ko to ye dushwar nahin
Qayem Chandpuri