le chala jaan meri ruTh ke jaana tera
aise aane se to behtar tha na aana tera
apne dil ko bhi bataun na Thikana tera
sab ne jaana jo pata ek ne jaana tera
tu jo ai zulf pareshan raha karti hai
kis ke ujDe hue dil mein hai Thikana tera
aarzu hi na rahi subh-e-watan ki mujh ko
sham-e-ghurbat hai ajab waqt suhana tera
ye samajh kar tujhe ai maut laga rakkha hai
kaam aata hai bure waqt mein aana tera
ai dil-e-shefta mein aag lagane wale
rang laya hai ye lakhe ka jamana tera
tu KHuda to nahin ai naseh-e-nadan mera
kya KHata ki jo kaha main ne na mana tera
ranj kya wasl-e-adu ka jo talluq hi nahin
mujh ko wallah hansata hai rulana tera
kaba o dair mein ya chashm-o-dil-e-ashiq mein
inhin do-chaar gharon mein hai Thikana tera
tark-e-adat se mujhe nind nahin aane ki
kahin nicha na ho ai gor sirhana tera
main jo kahta hun uThae hain bahut ranj-e-firaq
wo ye kahte hain baDa dil hai tawana tera
bazm-e-dushman se tujhe kaun uTha sakta hai
ek qayamat ka uThana hai uThana tera
apni aankhon mein abhi kaund gai bijli si
hum na samjhe ki ye aana hai ki jaana tera
yun to kya aaega tu fart-e-nazakat se yahan
saKHt dushwar hai dhoke mein bhi aana tera
'dagh' ko yun wo miTate hain ye farmate hain
tu badal Dal hua nam purana tera
Ghazal
Le chala jaan meri ruTh ke jaana tera
Dagh Dehlvi