lazzat se nahin KHali jaanon ka khapa jaana
kab KHizr o masiha ne marne ka maza jaana
hum jah-o-hasham yan ka kya kahiye ki kya jaana
KHatim ko sulaiman ki angushtar-e-pa jaana
ye bhi hai ada koi KHurshid namat pyare
munh subh dikha jaana phir sham chhupa jaana
kab bandagi meri si banda karega koi
jaane hai KHuda us ko main tujh ko KHuda jaana
tha naz bahut hum ko danist par apni bhi
aaKHir wo bura nikla hum jis ko bhala jaana
gardan-kashi kya hasil manind bagule ki
is dasht mein sar gaDe jun sail chala jaana
is girya-e-KHunin ka ho zabt to behtar hai
achchha nahin chehre par lohu ka baha jaana
ye naqsh dilon par se jaane ka nahin us ko
aashiq ke huquq aa kar nahaq bhi miTa jaana
Dhab dekhne ka idhar aisa hi tumhaara tha
jate to ho par hum se Tuk aankh mila jaana
us shama ki majlis mein jaana hamein phir wan se
ek zaKHm-e-zaban taza har roz uTha jaana
ai shor-e-qayamat hum sote hi na rah jawen
is rah se nikle to hum ko bhi jaga jaana
kya pani ke mol aa kar malik ne guhar becha
hai saKHt giran sasta yusuf ka bika jaana
hai meri teri nisbat ruh aur jasad ki si
kab aap se main tujh ko ai jaan juda jaana
jati hai guzar ji par us waqt qayamat si
yaad aawe hai jab tera yak-bargi aa jaana
barson se mere us ki rahti hai yahi sohbat
tegh us ko uThana to sar mujh ko jhuka jaana
kab 'mir' basar aae tum waise farebi se
dil ko to laga baiThe lekin na laga jaana
Ghazal
Lazzat se nahin Khaali jaanon ka khapa jaana
Mir Taqi Mir