lauT aaega kisi sham yahi lagta hai
jagmagaenge dar-o-baam yahi lagta hai
zist ki rah mein tanha jo bhaTakti hun main
ye wafaon ka hai inam yahi lagta hai
ek muddat se musalsal hun safar mein lekin
manzil shauq hai do-gam yahi lagta hai
ek kali bar sar-e-paikar KHizaon se hai
ye nahin waqif-e-anjam yahi lagta hai
mere aane ki KHabar sun ke wo dauDa aata
us ko pahuncha nahin paigham yahi lagta hai
mujh ko bhi kar dega ruswa wo zamane bhar mein
KHud bhi ho jaega badnam yahi lagta hai
bhulna us ko hai aasan 'shabana' lekin
mujh se hoga nahin ye kaam yahi lagta hai
Ghazal
LauT aaega kisi sham yahi lagta hai
Shabana Yousaf