lauh-e-mahfuz tera zer-o-zabar kaisa hai
ye KHat-e-bul-ajabi pesh-e-nazar kaisa hai
tu kahin aur basa hai to ye ghar kaisa hai
la-makan wale ye mehrab ye dar kaisa hai
naqsh ubhra bhi nahin tha ki miTane baiThe
mere paikar se jahan walon ko Dar kaisa hai
na koi shaKH na patte na koi gul na shajar
bich aangan mein khaDa hai jo shajar kaisa hai
main isi waste Duba ki samajh pao tum
zer-e-sahil jo bhanwar hai wo bhanwar kaisa hai
Ghazal
Lauh-e-mahfuz tera zer-o-zabar kaisa hai
Qaus Siddiqui