lau ko chhune ki hawas mein ek chehra jal gaya
shama ke itne qarib aaya ki saya jal gaya
pyas ki shiddat thi sairabi mein sahra ki tarah
wo badan pani mein kya utra ki dariya jal gaya
kya ajab kar-e-tahayyur hai supurd-e-nar-e-ishq
ghar mein jo tha bach gaya aur jo nahin tha jal gaya
garmi-e-didar aisi thi tamasha-gah mein
dekhne walon ki aankhon mein tamasha jal gaya
KHud hi KHakistar kiya us ne mujhe aur us ke baad
mujh se KHud hi puchhta hai bol kya kya jal gaya
sirf yaad-e-yar baqi rah gai dil mein 'salim'
ek ek kar ke sabhi asbab-e-duniya jal gaya
Ghazal
Lau ko chhune ki hawas mein ek chehra jal gaya
Saleem Kausar