اردو हिंदी
Latafat be-kasafat jalwa paida kar nahin sakti | Shaahi Shayari
latafat be-kasafat jalwa paida kar nahin sakti

Ghazal

Latafat be-kasafat jalwa paida kar nahin sakti

Mirza Ghalib

;

latafat be-kasafat jalwa paida kar nahin sakti
chaman zangar hai aaina-e-baad-e-bahaari ka

harif-e-joshish-e-dariya nahin KHuddari-e-sahil
jahan saqi ho tu baatil hai dawa hoshiyari ka

bahaar-e-rang-e-KHun-e-gul hai saman ashk-bari ka
junun-e-barq nashtar hai rag-e-abr-e-bahaari ka

bara-e-hall-e-mushkil hun zi-pa uftada-e-hasrat
bandha hai uqda-e-KHatir se paiman KHaksari ka

ba-waqt-e-sar-niguni hai tasawwur intizaristan
nigah ko aablon se shaghl hai aKHtar-shumari ka

'asad' saghar-kash-e-taslim ho gardish se gardun ki
ki nang-e-fahm-e-mastan hai gila bad-rozg-ari ka