larazti chhat shikasta baam-o-dar se baat karni hai
mujhe tanhai mein kuchh apne ghar se baat karni hai
bikharne ke marahil mein sahaara kyun diya mujh ko
meri miTTi ne dast-e-kuza-gar se baat karni hai
kiya tha jaan de ke hum ne kar-e-ashiyan-bandi
jalaya kis liye barq-o-sharar se baat karni hai
muqabil husn jab aae sitam-zadon ki mahfil mein
zaban ko qaid karna hai nazar se baat karni hai
badal Dala hai duniya ko jo firaunon ki basti mein
KHuda ne aaj shayad phir bashar se baat karni hai
mere panw mein Dali hai ye zanjir-e-asaish
jo sae banTta hai us shajar se baat karni hai
jo mujh mein dusra hai sab jise 'mansur' kahte hain
mujhe bhi aaj us shorida-sar se baat karni hai
Ghazal
Larazti chhat shikasta baam-o-dar se baat karni hai
Mansoor Multani