laraz uTha hai mere dil mein kyun na jaane diya
tera payam to KHamosh si hawa ne diya
jala raha tha mujhe main ne bhi jalane diya
ujala us ne diya bhi to kis bahane diya
abhi kuchh aur Thahar jata mere kahne par
wo jaane wala tha KHud hi so main ne jaane diya
wo apni sair ke qisse mujhe sunata raha
mujhe to haal-e-dil us ne kahan sunane diya
main shukr us ka na kaise ada karun jaanan
shuur mujh ko mohabbat ka jis KHuda ne diya
karam ke pal mein ye raushan hua ba-hamdillah
nahin bujhega mera tujh se ai zamane diya
'shumar' samne us ke bhi guftugu ke waqt
jo rang chehre pe aaya tha main ne aane diya
Ghazal
Laraz uTha hai mere dil mein kyun na jaane diya
Akhtar Shumar