laraz raha tha falak arz-e-haal aisa tha
shikastagi mein zamin ka sawal aisa tha
kamal aisa ki hairat mein charKH-e-nili-fam
shajar uTha na saka sar zawal aisa tha
kisi wajud ki koi ramaq na ho jaise
daraaz silsila-e-mah-o-sal aisa tha
khila hua tha badan par jarahaton ka chaman
ki zaKHm phail gaya indimal aisa tha
kabhi ye taKHt-e-sulaiman kabhi saba raftar
nasha chaDha to samand-e-KHayal aisa tha
ghire hue the jo baadal baras ke tham bhi gae
bichha hua tha jo taron ka jal aisa tha
kabhi wo shola-e-gul tha kabhi gul-e-shola
mizaj-e-husn mein kuchh e'tidal aisa tha
wo aankhen qahr mein bhi kar gain mujhe shadab
farogh-e-baada mein rang-e-jamal aisa tha
kisi se hath milane mein dil nahin milta
talab mein shaiba-e-ehtimal aisa tha
Ghazal
Laraz raha tha falak arz-e-haal aisa tha
Syed Amin Ashraf

