laraz laraz ke na TuTen to wo sitare kya
jinhen na hosh ho gham ka wo gham ke mare kya
mahakte KHun se sahra jale hue gulshan
nazar-fareb hain duniya ke ye nazzare kya
ummid-o-bim ki ye kashmakash hai raaz-e-hayat
sukun-nawaz hain is ke siwa sahaare kya
koi hazar miTae ubharte aae hain
hum ahl-e-dard junun-e-jafa se haare kya
Ghazal
Laraz laraz ke na TuTen to wo sitare kya
Baqar Mehdi

