lapaT wo zulf ki jaan-baKHsh aur wo pyari raat
basar hui kabhi aisi bhi sari sari raat
kahan wo bistar-e-diba hasir-e-kohna kahan
kuja amiron ki raaten kahan hamari raat
firaq-e-yaad mein guzra hai jaise sara din
yun hi kaTegi ba-sad aah-o-be-qarari raat
udas sham se baiThe hain chaaragar sare
zarur hai tere bimar-e-gham pe bhaari raat
sahar ke pahle hi ai 'shad' so rahunga main
sata ke mujh ko uThaegi sharmsari raat
Ghazal
LapaT wo zulf ki jaan-baKHsh aur wo pyari raat
Shad Azimabadi