lapaT si dagh kuhan ki taraf se aati hai
jab ek hawa tere tan ki taraf se aati hai
main teri manzil-e-jaan tak pahunch to sakta hun
magar ye rah badan ki taraf se aati hai
ye mushk hai ki mohabbat mujhe nahin malum
mahak si mere hiran ki taraf se aati hai
pahaD chup hain to ab reg-zar bolte hain
nida-e-koh KHutan ki taraf se aati hai
kisi ke wada-e-farda ke barg-o-bar ki KHair
ye aag hijr ke ban ki taraf se aati hai
jugon ke khoe huon ko pukarta hai ye kaun
sada to KHak-e-watan ki taraf se aati hai
Ghazal
LapaT si dagh kuhan ki taraf se aati hai
Irfan Siddiqi