lams ko chhoD ke KHushbu pe qanaat nahin karne wala
aisi-waisi to main ab tum se mohabbat nahin karne wala
mujh se behtar koi duniya mein kitabat nahin karne wala
par tere hijr ki main jald ishaat nahin karne wala
apne hi jism ko kal us ne meri aankhon se pura dekha
is se baDh kar koi manzar kabhi hairat nahin karne wala
mazhab-e-ishq se mansub ye baaten to KHarij ki hain
sham-e-hijran main kisi taur main shirkat nahin karne wala
aisi bhagdaD mein koi paon tale aae to shikwa na kare
gir gaya main to koi mujh se riayat nahin karne wala
lau larazne ka koi aur hi matlab na nikal aae kahin
puchhne par bhi charagh aur wazahat nahin karne wala
mujhe chalte hue raste ke shajar dekhte jate hain 'raza'
par mere sath ukhaD kar koi hijrat nahin karne wala

Ghazal
Lams ko chhoD ke KHushbu pe qanaat nahin karne wala
Rafi Raza