اردو हिंदी
Lamhon ne yun sameT liya fasla bahut | Shaahi Shayari
lamhon ne yun sameT liya fasla bahut

Ghazal

Lamhon ne yun sameT liya fasla bahut

Aziz-ur-Rahman Shaheed Fatehpuri

;

lamhon ne yun sameT liya fasla bahut
main ne paDha to kuchh na tha lekin paDha bahut

kitne junun-nawaz bichhaD ke chale gae
josh-e-junun ke sath na tha walwala bahut

Duba safina jis mein musafir koi na tha
lekin bhare hue the wahan na-KHuda bahut

sau daeron mein baT ke numayan na ho sake
socho agar to hoga bas ek daera bahut

shayad yahi kitab-e-mohabbat ho la-jawab
meri wafa ke sath hai teri jafa bahut

zaKHmon ke sath sath namak-pashiyan bhi thin
dekha hai mere ishq ne ye silsila bahut

aankhon mein dam Tika hai wo aa jaen is ghaDi
dast-e-talab hai mere liye ye dua bahut

tujh ko 'shahid' sada-dili ki nazar lagi
imkan warna tere liye bhi raha bahut