اردو हिंदी
Lamhon ka bhanwar chir ke insan bana hun | Shaahi Shayari
lamhon ka bhanwar chir ke insan bana hun

Ghazal

Lamhon ka bhanwar chir ke insan bana hun

Fakhr Zaman

;

lamhon ka bhanwar chir ke insan bana hun
ehsas hun main waqt ke sine mein gaDa hun

kahne ko to har mulk mein ghuma hun phira hun
sochun to jahan tha wahin chup-chap khaDa hun

foot-path pe arse se paDa soch raha hun
patta to main sarsabz tha kyun TuT gira hun

ek roz zar-o-sim ke ambar bhi the hech
bikne pe jo aaya hun to kauDi pe bika hun

shayad ki kabhi mujh pe bhi hire ka guman ho
dekho to main patthar hun magar soch raha hun

haalat ka dhaara kabhi aise bhi ruka hai
nadan hun ki main ret ke band bandh raha hun

ek ret ki diwar ki surat the sab aadarsh
jin ke liye ek umr main duniya se laDa hun

ahbab ki nazron mein hun gar wajib-e-tazim
kyun apni nigahon mein buri tarah gira hun

ai 'faKHr' garajka meri fitrat sahi lekin
jo ghair ki marzi se hi barse wo ghaTa hun