lamhe lamhe ki na-rasai hai
zindagi haalat-e-judai hai
mard-e-maidan hun apni zat ka main
main ne sab se shikast khai hai
ek ajab haal hai ki ab us ko
yaad karna bhi bewafai hai
ab ye surat hai jaan-e-jaan ki tujhe
bhulne mein meri bhalai hai
KHud ko bhula hun us ko bhula hun
umr bhar ki yahi kamai hai
main hunar-mand-e-rang hun main ne
KHun thuka hai dad pai hai
jaane ye tere wasl ke hangam
teri furqat kahan se aai hai
Ghazal
Lamhe lamhe ki na-rasai hai
Jaun Eliya