lamha lamha yahi sochun yahi dekha chahun
teri aankhon mein to bas apna hi chehra chahun
ye bhi kya baat ki main teri ana ki KHatir
teri qamat se ziyaada tera saya chahun
mujh se ulfat bhi nahin hai to na jaane phir kyun
teri mahfil mein faqat apna hi charcha chahun
wo to gunga hai magar mujh ko ye zid hai kaisi
apni tarif mein kuchh us se bhi sunna chahun
sath dene se hue jate hain qasir alfaz
jaane kya kya main teri shan mein likhna chahun
main to ek aisa musafir hun jo thakta hi nahin
apni manzil se bhi aage koi jada chahun
dil se baadal kabhi uThte hi nahin hain 'aKHtar'
kis liye aankhon se bahta hua dariya chahun
Ghazal
Lamha lamha yahi sochun yahi dekha chahun
Akhtar Shahjahanpuri