اردو हिंदी
Lamha lamha shumar kaun kare | Shaahi Shayari
lamha lamha shumar kaun kare

Ghazal

Lamha lamha shumar kaun kare

Ahmad Rahi

;

lamha lamha shumar kaun kare
umr bhar intizar kaun kare

koi wada bhi to wafa na hua
be-wafaon se pyar kaun kare

shab-e-tira-o-tar ka daman
dekhiye tar tar kaun kare

dosti ek lafz-e-be-mani
kis pe ab inhisar kaun kare

ai gham-e-dost tere hote hue
gham-e-lail-o-nahaar kaun kare

tere is dard-e-la-dawa ka ilaj
dil-e-zar-o-nazar kaun kare

silsila TuTna tha TuT gaya
ab use ustuwar kaun kare