lamha lamha shumar karta hun 
aap ka intizar karta hun 
KHar-zar-e-hayat mein rah kar 
main bahaaron se pyar karta hun 
zard chehron udas aankhon par 
apni KHushiyan nisar karta hun 
mujh sa nadan koi kya hoga 
aap par e'tibar karta hun 
dekh kar nur nur chehron ko 
midhat-e-kirdgar karta hun 
koi samjhe na dil ki baat agar 
KHamushi iKHtiyar karta hun 
main mohabbat ke nam par 'rifat' 
gham-nasibon se pyar karta hun
        Ghazal
Lamha lamha shumar karta hun
Rifat Sultan

