اردو हिंदी
Lamha lamha roz o shab ko der hoti jaegi | Shaahi Shayari
lamha lamha roz o shab ko der hoti jaegi

Ghazal

Lamha lamha roz o shab ko der hoti jaegi

Ahmad Shanas

;

lamha lamha roz o shab ko der hoti jaegi
ye safar aisa hai sab ko der hoti jaegi

sabz lamhon ko ugane ka hunar bhi sikhna
warna is rang-e-talab ko der hoti jaegi

is hawa mein aadmi patthar ka hota jaega
aur rone ke sabab ko der hoti jaegi

dekhna tera hawala kuchh se kuchh ho jaega
dekhna sher o adab ko der hoti jaegi

rafta rafta jism ki parten utarti jaengi
kaghzi nam o nasab ko der hoti jaegi

aam ho jaega kaghaz ke gulabon ka chalan
aur KHushbu ke sabab ko der hoti jaegi

sara manzar hi badal jaega 'ahmad' dekhna
mausam-e-ruKHsar-o-lab ko der hoti jaegi