lamha lamha kah rahi hain kuchh fazaen aag ki
zarra zarra aa rahi hain kya sadaen aag ki
KHushk peDon ke labon par kya duaen hain suno
chha rahi hain har taraf dekho ghaTaen aag ki
kucha-o-bazar bhi diwar-o-dar bhi aag hain
ek ishaara sa hai faslen lahlahaen aag ki
aag ki lahren hain ya logon ki sansen hain yahan
dekhna ye bastiyan ab ban na jaen aag ki
jism to kab ka jala ab ruh tak jati hai aanch
chal rahi hain tez kaisi ye hawaen aag ki
uD raha hai ek bagula aag barsata hua
khetiyan sab nazr logo ho na jaen aag ki
Ghazal
Lamha lamha kah rahi hain kuchh fazaen aag ki
Ahmad Hamdani