lamha lamha ek nai tafsir hai 
zindagi kaisi teri taswir hai 
dekhe deti hai kya ab ye sadi 
har kisi ke hath mein shamshir hai 
aap mere samne baiThe hain ye 
KHwab hai ya KHwab ki tabir hai 
aaine par guftugu mat kijiye 
aaina na-qabil-e-tasKHir hai 
TuTna girna bikharna ek din 
har imarat ki yahi taqdir hai
        Ghazal
Lamha lamha ek nai tafsir hai
Noorul Ain Qaisar Qasmi

