lamha lamha bikhar raha hun main
apni takmil kar raha hun main
KHub se KHub-tar hai ru-e-hayat
nae singhaar kar raha hun main
khulte jate hain zehn ke auraq
tajrabon se guzar raha hun main
tera hona na man kar goya
tujh ko taslim kar raha hun main
KHud se na-ashna sahi lekin
tujh se kab be-KHabar raha hun main
mahw aisa hun KHud-parasti mein
goya tujh se mukar raha hun main

Ghazal
Lamha lamha bikhar raha hun main
Ram Awtar Gupta Muztar