lamha-e-taKHliq baKHsha us ne mujh ko bhik mein
main ne lauTaya use ek nazm ki taknik mein
baam-o-dar ki raushni phir kyun bulati hai mujhe
main nikal aaya tha ghar se ek shab-e-tarik mein
faisle mahfuz hain aur fasle hain barqarar
gard uDti hai yaqin ki wadi-e-tashkik mein
si ke phaila dun bisat-e-fan pe main daman-e-chaak
Dor to guzre nazar ki sozan-e-barik mein
main ziyarat-gah-e-agahi se lauT aaya hun dost
phul laya hun alam ke hadiya-e-tabrik mein
bol mere sur ko chhute chhute rah jate hain 'saz'
aah ye kaisi kasar hai dard ki tahrik mein
Ghazal
Lamha-e-taKHliq baKHsha usne mujhko bhik mein
Abdul Ahad Saaz