lambi raat se jab mili us ki zulf-e-daraaz
khul kar sari gutthiyan phir se ban gain raaz
us ki ek aawaz se sharmaya sangit
sarangi ka soz kya kya sitar ka saz
mera qail ho gaya ye sara sansar
rang-e-naz mein jab mila mera rang-e-niyaz
sazon ka sangit kya payal ki jhankar
kaun sune is shor mein dil teri aawaz
un aankhon mein Dal kar jab aankhen us raat
main Duba to mil gae Dube hue jahaz
Ghazal
Lambi raat se jab mili uski zulf-e-daraaz
Ameeq Hanafi