lambi KHamoshi ki sazish ko harae koi
meri aawaz mein aawaz milae koi
main bhi uD sakta hun aakash ko chhu sakta hun
mera soya hua ehsas jagae koi
koi to hoga mujhe DhunDne wala yaro
mera gumnam pata sab ko batae koi
aisa lagta ki sab bhul gae hain mujh ko
mere darwaze pe aawaz lagae koi
har taraf sirf sarab aur sarab aur sarab
kab tak aankhon se bhala pyas bujhae koi
sach hai main ne hi KHamoshi ki guzarish ki thi
ab meri gum-shuda aawaz to lauTae koi
jis ko sun kar mere darwaze pe lag jae hujum
is tarah ki koi afwah uDae koi
Ghazal
Lambi KHamoshi ki sazish ko harae koi
Subodh Lal Saqi