lakir-e-sang ko anqa-misal hum ne kiya
bhula diya use dil se kamal hum ne kiya
shuru us ne kiya tha tamasha qurbat ka
phir us ke baad to sara dhamal hum ne kiya
ulaT ke rakh diye hum ne junun ke sare usul
junub-e-dasht ko shahr-e-shimal hum ne kiya
farogh-e-zaKHm se raushan rakha siyahi ko
ata-e-hijr ko najm-e-visal hum ne kiya
basa liya teri KHushbu ko mazra-e-jaan mein
shaguft-e-gham tujhe kaisa nihaal hum ne kiya
ek aur mauj thi is mauj-e-agahi se udhar
so auj-e-aql ko nazr-e-zawal hum ne kiya
bahana koi nahin ab safar mein rahne ka
zamin-e-KHwab tujhe paemal hum ne kiya
ye be-niyazi zaruri thi kar-e-ulfat mein
so KHud ka dhyan na tera KHayal hum ne kiya
saba to KHud hi muKHatib thi ai faza-e-qafas
gawah rahiyo na koi sawal hum ne kiya
dhanak si ban gai goyai se samaat tak
ye kis ke rang ko juzw-e-maqal hum ne kiya
hamare zaKHm ki surKHi baDha gaya 'arshad'
wo barg-e-sabz jise dast-mal hum ne kiya
Ghazal
Lakir-e-sang ko anqa-misal humne kiya
Arshad Abdul Hamid