laKHt-e-jigar ko kyunkar mizhgan-e-tar sambhaale
ye shaKH wo nahin jo bar-e-samar sambhaale
diwana ho ke koi phaDa kare gareban
mumkin nahin ki daman wo be-KHabar sambhaale
talwar khinch kar wo KHun-KHwar hai ye kahta
munh par jo khate Darta ho wo sipar sambhaale
takiye mein aadmi ko lazim kafan hai rakhna
baiTha rahe musafir raKHt-e-safar sambhaale
yak dam na nibhne deti un ki tunak-mizaji
rakhte na hum tabiat apni agar sambhaale
wo naKHl-e-KHushk hun main is gulshan-e-jahan mein
phirta hai baghban bhi mujh par tabar sambhaale
har gam par KHushi se waraftagi si hogi
lana jawab-e-KHat ko ai nama-bar sambhaale
ya phir katar par us ke sayyaad ya chhuri pher
be-baal-o-par ne tere phir baal-o-par sambhaale
dard-e-firaq 'atish' taDpa raha hai hum ko
ek hath dil sambhaale hai ek jigar sambhaale
Ghazal
LaKHt-e-jigar ko kyunkar mizhgan-e-tar sambhaale
Haidar Ali Aatish