lakDi ki do mezen hain ek lohe ki almari hai
ek shair ke kamre jaisi hum ne umr guzari hai
ek salaKHon wali khiDki jhank rahi hai aangan mein
diwaron par upar niche KHwabon ki gul-kari hai
manzar manzar bhig raha hai shahr ki KHali saDkon par
pakki nahr pe ganw ke ghoDe ki Top sawari hai
pyas bujhane aate hain dukh dard parinde raat gae
KHwab ka chashma phuTa tha aankhon mein ab tak jari hai
sanduq purani yaadon ka tala toD ke dekha to
ek resham ki shaal mili hai nile rang ki sari hai
waqt mile to gul-daste ka hath pakaD kar aa jaana
warna kahna kaam bahut hai aane mein dushwari hai
Ghazal
LakDi ki do mezen hain ek lohe ki almari hai
Sidra Sahar Imran