laila sar-ba-gareban hai majnun sa aashiq-e-zar kahan
hir duhai deti hai ranjhe sa yar-e-ghaar kahan
apna KHun-e-jigar pite hain tujh ko duaen dete hain
tere maiKHane mein saqi hum sa baada-KHwar kahan
hijr ka zulm hamari qismat wasl ki daulat ghair ka mal
zaKHm kise aur marham kis ko dard kahan hai qarar kahan
hijr ka zulm hamari qismat wasl ki daulat ghair ka mal
zaKHm kise aur marham kis ko dard kahan hai qarar kahan
pir-e-mughan kya kam tha mohtasibon ka bhi ab daKHl hua
mina par kya guzregi sar phoDenge mai-KHwar kahan
sunte hain ki chaman mahke bulbul chahke ban lahke hain
apne nasheman tak jo na pahunchi aisi bahaar bahaar kahan
kunj-e-mehan hai dar-o-rasan hai zulmat hai tanhai hai
kaun si ja hai ham-safaro le aai talash-e-yar kahan
gul-chinon ko aaj chaman-bandi ka dawa hai 'parwez'
ab dekhen luT kar bikta hai kali kali ka singhaar kahan
Ghazal
Laila sar-ba-gareban hai majnun sa aashiq-e-zar kahan
Afzal Parvez