اردو हिंदी
Laila ka agar mujhko kirdar mila hota | Shaahi Shayari
laila ka agar mujhko kirdar mila hota

Ghazal

Laila ka agar mujhko kirdar mila hota

Seema Sharma Meeruthi

;

laila ka agar mujh ko kirdar mila hota
majnun sa kahani ko aadhaar mila hota

sahra mein nikal jata dariya bhi sarabon se
gar kalpana ko meri aakar mila hota

pal bhar ki mohabbat mein jaan tak bhi main de deti
afsos nahin hota gar pyar mila hota

hoti na maha-bhaarat ya koi baghawat phir
haqdar ko jo us ka adhikar mila hota

ayyash amiron ke laDke na bigaDte gar
aurat ko na phir koi bazar mila hota

bhuke na bhaTakte phir din raat parinde ye
jo in ko shajar koi phaldar mila hota

main nur-jahan hoti us saltanat ki 'sima'
gar mujh ko jahangiri darbar mila hota