lahuluhan samundar bhi dekhna hai abhi
burida halq pe KHanjar bhi dekhna hai abhi
abhi se dasht-e-bala se faraghaten kaisi
buland hota hua sar bhi dekhna hai abhi
musalahat kahan hogi sipah-e-sham ke sath
zaban ki nok pe KHanjar bhi dekhna hai abhi
namida chashm-e-masafat ki intiha bhi nahin
udas nasl ko zad par bhi dekhna hai abhi
tumhaare KHwab meri ungliyon se bahar hain
tumhaare KHwab ko chhukar bhi dekhna hai abhi
Ghazal
Lahuluhan samundar bhi dekhna hai abhi
Wajid Qureshi