lahu uchhaalte lamhon ka silsila nikla
mujhe pahunchna kahan tha kahan main aa nikla
jahan safed gulabon ka KHwab tha raushan
wahan siyah pahaDon ka silsila nikla
bahaw tez tha dariya ka chand lamhon mein
meri nigah ki had se wo dur ja nikla
tilism TuTa jab us ke hasin lahje ka
meri umid ke bar-aks faisla nikla
na jaane kab se main us ke qarib tha lekin
baghaur dekha to sadiyon ka fasla nikla
jo lamha lamha juda kar raha tha KHud se mujhe
mere wajud ke andar hi wo chhupa nikla
samajh rahe the jise hum baraat ka manzar
qarib ja ke jo dekha to hadsa nikla
Ghazal
Lahu uchhaalte lamhon ka silsila nikla
Nusrat Gwaliari