lahu pukar ke chup hai zamin bolti hai
main jhumta hun ki ye kaenat Dolti hai
abhi zamin pe utregi us dariche se
wo raushni jo musafir ki rah kholti hai
maza to ye hai ki wo zahr mein bujhi aawaz
kabhi kabhi mere kanon mein shahd gholti hai
ajib rabt hai gungi rafaqaton se mujhe
wo sochta hai to meri zaban bolti hai
talash mein hun tawazun kahin nahin milta
har ek chehra ko meri nigah taulti hai
jo be-uDan hain 'alam' wo kis shumar mein hain
hawa bhi uDte parinde ke par TaTolti hai
Ghazal
Lahu pukar ke chup hai zamin bolti hai
Seen Sheen Alam