lahu na ho to qalam tarjuman nahin hota
hamare daur mein aansu zaban nahin hota
jahan rahega wahin raushni luTaega
kisi charagh ka apna makan nahin hota
ye kis maqam pe lai hai meri tanhai
ki mujh se aaj koi bad-guman nahin hota
bas ek nigah meri rah dekhti hoti
ye sara shahr mera mezban nahin hota
tera KHayal na hota to kaun samjhata
zamin na ho to koi aasman nahin hota
main us ko bhul gaya hun ye kaun manega
kisi charagh ke bas mein dhuan nahin hota
'wasim' sadiyon ki aankhon se dekhiye mujh ko
wo lafz hun jo kabhi dastan nahin hota
Ghazal
Lahu na ho to qalam tarjuman nahin hota
Waseem Barelvi