lahu mein nachti hameshgi udas ho ke rah gai
nihaal karne wali narm jhil pyas ho ke rah gai
wo lazzaton bhari mohabbaton bhari milan ki ek shab
kabhi na puri hone wali koi aas ho ke rah gai
samajh raha tha main jise suhag raat ki wishaal rut
mere qarib aate aate wo qayas ho ke rah gai
hare libas mein lagi bhali wo ek dudhiya kali
na jaane kis taraf chali ki KHushk ghas ho ke rah gai
uchhaalna jo chahta tha main awam ke liye 'zafar'
mere KHayal ki wo lahr harf-e-KHas ho ke rah gai
Ghazal
Lahu mein nachti hameshgi udas ho ke rah gai
Sabir Zafar