lahu-luhan tha shaKH-e-gulab kaT ke wo
hua halak chaTanon ke KHwab kaT ke wo
main guzre waqt ke kis aasman mein jita hun
gaya kabhi ka hawa ki tanab kaT ke wo
isi umid pe jalti hain dasht dasht aanhken
kabhi to aaega umr-e-KHarab kaT ke wo
hue hain KHushk bhari dopahar kai dariya
is aarzu mein ki rakh de sarab kaT ke wo
guzishta shab se jazire mein wardat nahin
bhanwar ko le gaya yun zer-e-ab kaT ke wo
Ghazal
Lahu-luhan tha shaKH-e-gulab kaT ke wo
Musavvir Sabzwari