lahu-luhan sa manzar hamari aankh mein hai
hamara jalta hua ghar hamari aankh mein hai
fasad mein jo tabahi hui hamare yahan
usi ka aaj bhi ek Dar hamari aankh mein hai
hamari samt uchhaala gaya tha jo ek din
lahu se surKH wo patthar hamari aankh mein hai
nizam hind ka bigDa hai jab se ai 'ahsan'
tabhi se surKH samundar hamari aankh mein hai
use na chhin saka koi mujh se ai 'ahsan'
ubharta Dubta aKHtar hamari aankh mein hai
Ghazal
Lahu-luhan sa manzar hamari aankh mein hai
Ahsan Imam Ahsan