lahu lahu sa dil-e-dagh-dar le ke chale
chaman se tohfa-e-fasl-e-bahaar le ke chale
ruke to saya-e-abr-e-bahaar ban ke ruke
chale to gardish-e-lail-o-nahaar le ke chale
suna hai husn ki mahfil mein pyar bikta hai
kaho ki ishq bhi daman ke tar le ke chale
kaho saba se ki baiThe hain rind jam-ba-kaf
chaman mein qafila-e-nau-bahaar le ke chale
wafa ki rah mein sab kuchh luTa diya hum ne
hamin ko ahl-e-wafa su-e-dar le ke chale
kahin to dil ko milega sukun-e-ahl-e-junun
chalo jahan bhi dil-e-be-qarar le ke chale
unhen to Dub hi jaana hai ek din 'waqif'
jo sochte hain hamein koi par le ke chale
Ghazal
Lahu lahu sa dil-e-dagh-dar le ke chale
Waqif rae Barelvi