اردو हिंदी
Lahu lahu aarzu badan ka lihaf hoga | Shaahi Shayari
lahu lahu aarzu badan ka lihaf hoga

Ghazal

Lahu lahu aarzu badan ka lihaf hoga

Aanand Saroop Anjum

;

lahu lahu aarzu badan ka lihaf hoga
wo kitna buzdil hai aaj ye inkishaf hoga

meri har ek baat thi haqaeq ki raushni mein
ye jaanta tha zamana mere KHilaf hoga

haqiqaton ke charagh har-su jala ke rakhna
mujhe yaqin hai ki jhuT ka inetaf hoga

ye gham nahin hai shanaKHt apni main kho chuka hun
tumhaari hasti se kab mujhe inhiraf hoga

na khoj KHud ko purane kal ki kahaniyon mein
purana kal to shikast ka e'tiraf hoga

hamari baaton mein koi pechidgi nahin hai
hamari baaton se kab use iKHtilaf hoga

rumuz-e-alam pe dastaras us ko hogi hasil
wo shaKHs kirdar jis ka shaffaf-o-saf hoga

saza ke Dar se abas tu ghabra raha hai 'anjum'
qusur pahla to har kisi ko muaf hoga