lahu ko palte phirte hain hum hina ki tarah
badal gae hain mazamin teri wafa ki tarah
hum aitabar-e-wafa ka guman karen bhi to kya
wo aaj surat-e-gul hain to kal saba ki tarah
use to sang-e-raunat ne kar diya ghayal
main TuT TuT gaya shisha-e-ana ki tarah
jhaTak ke le gaya bhigi ruton ke imkanat
nikal gaya mere sahra se phir hawa ki tarah
kabhi khule bhi dar-e-mustajab-e-chaara-garan
bahut dinon se tahi-dast hun dua ki tarah
asa chhina hai to kasa bhi le uDa koi
nawa nawa hun sar-e-shahr-e-jaan-e-gada ki tarah
lagi hai shahr mein ek bhiD marne walon ki
ye kis ne Dali hai maqtal mein KHun-baha ki tarah
kahin to us ke marasim mein jhol tha tariq
wagarna hum se na milta wo aashna ki tarah

Ghazal
Lahu ko palte phirte hain hum hina ki tarah
Tariq Masood