lahu ko dil ke jo sarf-e-bahaar kar na sake
ilaj gardish-e-lail-o-nahaar kar na sake
KHuda na karda gire koi apni nazron se
na ho ki apna koi eatibar kar na sake
bhar aai aankh sar-e-bazm ho gae KHamosh
hum un se baat jo begana-war kar na sake
wo aa gae to simaT aae sab nigahon mein
hazaron KHwab ki jin ka shumar kar na sake
tumhaare samne aksar rahi hai nok-e-zaban
wo ek baat jo payan-e-kar kar na sake
huin jo qalb mein paiwast ho gaya chhalni
wo hasraten ki jinhen ashk-bar kar na sake
harif-e-kaam-o-dahan ban gain fana na huin
wo talKHiyan ki jinhen KHush-gawar kar na sake
kisi se tark-e-talluq junun ki shah pa kar
hazar bar kiya ek bar kar na sake
Ghazal
Lahu ko dil ke jo sarf-e-bahaar kar na sake
Syed Hamid

