lahu ki bund misl-e-aina har dar pe rakkhi thi
sanad ahl-e-wafa ki lasha-e-be-sar pe rakkhi thi
nigahen waqt ki kaise nazar-andaz kar detin
asas-e-gulsitan katre hue shahpar pe rakkhi thi
ana majruh ho jati qadam pichhe agar haTte
bina-e-qurb dohri dhaar ke KHanjar pe rakkhi thi
idhar hum sar hatheli par liye maqtal mein pahunche the
udhar qatil ne ghabra kar hatheli sar pe rakkhi thi
KHudi ki raushni mein main ne dekha hai aqidat ko
KHudai warna aazar ki meri Thokar pe rakkhi thi
KHulus-o-mehr ke pani ne ThanDa kar diya aaKHir
jo tum ne aag nafrat ki dil-e-muztar pe rakkhi thi
liya jata na kaise imtihan-e-zarf ai 'saqi'
nazar har ek baada-KHwar ne saghar pe rakkhi thi
Ghazal
Lahu ki bund misl-e-aina har dar pe rakkhi thi
Abdul Hameed Saqi