lahu ki bebasi ko yun na ruswa chhoD dena tha
kuchh is mein ghairat-e-jaan ka hawala chhoD dena tha
main aainon mein KHud ko DhunDhta hun KHud nahin milta
mere chehron mein koi mera chehra chhoD dena tha
ajab ghar hain ki jin mein koi khiDki hai na darwaza
hawa ke aane jaane ka to rasta chhoD dena tha
abas sahil pe tum lahron ko kyun gin rahe yunhi
jo KHwahish motiyon ki thi kinara chhoD dena tha
unhen to karbala ki tishnagi aawaz deti thi
wo dariya the unhen shahr-e-madina chhoD dena tha
fasadon ke zamane mein sukun achchha nahin lagta
kisi afwah ka koi shagufa chhoD dena tha
numud-o-nam ne kis ko kahan par kab sukun baKHsha
miyan is ke liye shohrat ka sauda chhoD dena tha

Ghazal
Lahu ki bebasi ko yun na ruswa chhoD dena tha
Noman Imam