lahu jala ke ujale luTa raha hai charagh
ki zindagi ka saliqa sikha raha hai charagh
wufur-e-shauq mein laila-e-shab ke chehre se
naqab-e-zulf-e-pareshan uTha raha hai charagh
hamare sath purane sharik-e-gham ki tarah
azab-e-hijr ke sadme uTha raha hai charagh
ye raushni ka payambar hai is ki baat suno
sadaqaton ke sahife suna raha hai charagh
shab-e-siyah ka aaseb Talne ke liye
tamam umr sharik-e-dua raha hai charagh
hawa-e-dahr chali hai baDi raunat se
dayar ishq mein koi jala raha hai charagh
wo hath bhi yad-e-baiza se kam nahin 'ajiz'
jo KHak-e-arz-e-watan se bana raha hai charagh
Ghazal
Lahu jala ke ujale luTa raha hai charagh
Mushtaq Ajiz