اردو हिंदी
Lahu hi kitna hai jo chashm-e-tar se niklega | Shaahi Shayari
lahu hi kitna hai jo chashm-e-tar se niklega

Ghazal

Lahu hi kitna hai jo chashm-e-tar se niklega

Faza Ibn e Faizi

;

lahu hi kitna hai jo chashm-e-tar se niklega
yahan bhi kaam na arz-e-hunar se niklega

har ek shaKHs hai be-samtiyon ki dhund mein gum
batae kaun ki suraj kidhar se niklega

karo jo kar sako bikhre hue wajud ko jama
ki kuchh na kuchh to ghubar-e-safar se niklega

main apne aap se mil kar hua bahut mayus
KHabar thi garm ki wo aaj ghar se niklega

hain barf barf abhi mere ahd ki raaten
ufuq jalenge to shola sahar se niklega

ye kya KHabar thi ki ai ranj-e-raegan-nafsi
dhuan bhi sina-e-ahl-e-nazar se niklega

meri zamin ne KHala mein bhi khinch di diwar
tu aasman sahi kis rahguzar se niklega

tamam log isi hasrat mein dhup dhup jale
kabhi to saya ghanere shajar se niklega

samo na taron mein mujh ko ki hun wo sail-e-nawa
jo zindagi ke lab-e-mo'tabar se niklega

phira hun kasa liye lafz lafz ke pichhe
tamam umr ye sauda na sar se niklega

'faza' mata-e-qalam ko sambhaal kar rakkho
ki aaftab isi durj-e-guhar se niklega