lahron mein bhanwar niklenge mehwar na milega
har mauj mein pani bhi barabar na milega
gir jati hai rose ek parat rakh badan se
jalne ka saman phir bhi kahin par na milega
chashmak bhi jo rakhni hai to chauthai zamin se
shorida zaban kaise samundar na milega
har samt dimaghon ke tarangon ka hai shab-KHun
taknik ki is jang mein lashkar na milega
raste hi mein jal bujhti hai mahtabi-e-anjum
sabit ko to sayyar ka zewar na milega
karte hain hifazat sabhi diwar-e-ana ki
raKHne ke barabar bhi kahin dar na milega
kuza-gar-e-qamus kahan 'zeb' sa 'tafzil'
simTa hua kaghaz pe samundar na milega
Ghazal
Lahron mein bhanwar niklenge mehwar na milega
Tafzeel Ahmad