lahr lahr kya jagmag jagmag hoti hai
jhil bhi koi rang badalta moti hai
kawa kaT ke upar uThti hain qazen
gun gun gun gun paron ki gunjan hoti hai
chaDhta hua parwaz ka nashsha hai aur main
tez hawa rah rah kar Dank chubhoti hai
gahre sannaTe mein shor hawaon ka
tariki suraj ki lash pe roti hai
dekho is be-his nagin ko chhuna mat
kya malum ye jagti hai ya soti hai
meri KHasta-mizaji dekhte sab hain magar
kitne ghamon ka bojh uThae hoti hai
kis ka jism chamakta hai pani mein 'zeb'
kis ka KHazana raat nadi mein Duboti hai
Ghazal
Lahr lahr kya jagmag jagmag hoti hai
Zeb Ghauri