lahr ki tarah kinare se uchhal jaana hai
dekhte dekhte hathon se nikal jaana hai
dopahar wo hai ki hoti nazar aati hi nahin
din hamara to bahut pahle hi Dhal jaana hai
ji hamara bhi yahan ab nahin lagta itna
aaj agar rok liye jaen to kal jaana hai
dil mein khilta hua ek aaKHiri KHwahish ka ye phul
jate jate ise KHud main ne masal jaana hai
jo yahan KHud hi laga rakkhi hai chaaron jaanib
ek din hum ne isi aag mein jal jaana hai
chalti rukti hui ye husn bhi hai ek hawa
mausam-e-ishq bhi ek roz badal jaana hai
jaise ghuTTi mein koi KHauf paDa ho is ki
baat-be-baat hi is dil ne dahal jaana hai
aur to honi hai kya apni wasuli us se
munh pe kalak ye mulaqat ki mal jaana hai
main bhi kuchh der se baiTha hun nishane pe 'zafar'
aur wo khencha hua tir bhi chal jaana hai
Ghazal
Lahr ki tarah kinare se uchhal jaana hai
Zafar Iqbal